Thursday, 6 August 2015

Ek Taza Hikayat




Ek Taza Hikayat Hai,

Sun Lo To Enayat Hai

Ek shakhs ko dykha tha , taron  ki tarha humne

Ek shakhs ko chaha tha , apno ki tarha humne

Ek shakhs ko smjha tha , phulon ki tarha humne

Wo shakhs Qayamat tha

kya us ki karein batein

Din us k liye paida , Or us ki hii  thein raatein

kab milta kisi se tha , hum se thein mulaqatein

Rang uska shaha_bi tha

Zulfon mein thein mahkarein

Aankhein thein ke jadu tha

Palkein thein ke talwarein

Dushman bhi ager dekhein

So jaan se dil haarein

Kuch tum se wo milta tha

Baaton mein shabahat thi

Haan tum sa hi dikhta tha

Shokhi me shararat mein

Lagta bhi tum hi sa tha

Dastoor E mohabbat mein

Wo shakhs hamein ek din

Ghairon ki tarha bhula

Taron ki tarha dooba

Phulon ki tarha tuuta

Phir haath na aaya woh

Hamne to bohat dhundha...

TUM kis liye chon'key ho ?

kab zikr tmhara hai !

kab tum se taQaza hai ,

kab tum se shikayat hai !

EK TAZA HIKAYAT  Hai , SUN LO TO ENAYAT Hai...!

No comments:

Post a Comment