Monday, 10 August 2015
Thursday, 6 August 2015
Nahi Hay Koi Mujh Jesa
Taroon ki Tarhan Roshan
Asman ki Tarhan Madham
Soraj ki Tarhan Tapta
Chand ki Tarhan Thanda
Phool ki Trahan Nazuk
Kantoon ki tarhan chubta
Lahroon ki Tarhan Man Mojee
Samandar k seene me Band Woo Moti
kay jis k Har Andaz Me Hay Mohabbat-o-khamoshee
Mohabbat Wo Jo Dil Choo Lee
Khamoshee Woo Jo Dil Mooh Lee
Hay Har Andaz Mera Juda
Nhi Hay Koi Mujh Jesa Is Zamane Me
Ek Taza Hikayat
Ek Taza Hikayat Hai,
Sun Lo To Enayat Hai
Ek shakhs ko dykha tha , taron ki tarha humne
Ek shakhs ko chaha tha , apno ki tarha humne
Ek shakhs ko smjha tha , phulon ki tarha humne
Wo shakhs Qayamat tha
kya us ki karein batein
Din us k liye paida , Or us ki hii thein raatein
kab milta kisi se tha , hum se thein mulaqatein
Rang uska shaha_bi tha
Zulfon mein thein mahkarein
Aankhein thein ke jadu tha
Palkein thein ke talwarein
Dushman bhi ager dekhein
So jaan se dil haarein
Kuch tum se wo milta tha
Baaton mein shabahat thi
Haan tum sa hi dikhta tha
Shokhi me shararat mein
Lagta bhi tum hi sa tha
Dastoor E mohabbat mein
Wo shakhs hamein ek din
Ghairon ki tarha bhula
Taron ki tarha dooba
Phulon ki tarha tuuta
Phir haath na aaya woh
Hamne to bohat dhundha...
TUM kis liye chon'key ho ?
kab zikr tmhara hai !
kab tum se taQaza hai ,
kab tum se shikayat hai !
EK TAZA HIKAYAT Hai , SUN LO TO ENAYAT Hai...!
Subscribe to:
Posts (Atom)